Asal main insaan ko dunya main sirf aik cheez ki talash hy oor wo hy mohabbat, or ye talash insaan ki bachpan me bhi khatam ho saktee hy or budhapy tak bhi jaree reh saktee hy, shyed yahi waja hy k insaan apny bv bachoon k hoty howy bhi ishq krta hy oor budhappy main bhi log khandaan choor kar kisc oor se shadi kr lety hain, ye to wo talash hy jo umer k kisc b hisy main puree ho saktee hy or insaan marty dam tak bhi adhuraa reh sakta hy, or mohabbat jisy mil jye wo bhi khud ko bhool jata hy or jisy na mily wo bhi, sadyoon se ye silsilla challa aaraha hy or loog mohabbad karty aaye hain, khul kar bhee chuptay chupatty bhe, , ,dil main bhi sab k samny bhi, or is main loog kamyaab bhi howy hain or sangsaar bhee,
-- main islamabad f10 park main betha yahi soch raha tha k aakhir mohabbat main aesa kya hy k har tabky ka afraad yahan is park main aaty hain, mene burqa posh khawateen bhe dekheen, aik taxi driver or uski beloved, bike couple, bmw couple, jawan or zada umer k loog bhi, shadi shudaa budhy loog bhee, mujy inhain dekh kr ye mehsoos howa k goya ye wo jazba hy jo jazbaat k lahaz se sab main mushtrik hy khawah wo aik taxi driver couple ho ya parado couple, ye jazbaa hamesha se aik hi raha hy bilkul aesy hi jesy ham masjid main namaz k doran aik jesy ho jaty hain,. . . . . . .. .